Friday 2 September 2016

Apne Whatsup ka Data Facebook Ke Sath Share Hone Se Bachaye

Apne WhatsUp  ke Data Or Mobile  Number Ko Facebook Ke Sath Share Hone Se Bachaye

Hi Friends, Abhi Hal Hi Me Aapne Suna Hoga Ki Ab Whatsup Ki Sari Information Ko Facebook Ke Sath Share Kiya Jane Vala hai. Jisase Aapki Whatsup Ki sari Information Ko Facebook ke sath Jod Diya Jayega.



Sayad Aap Logo Ko Pta HoGa Agar Nhi Pta To Chalo Mai Bta Deta Hu ki Aaj Se Lagbhag Do Sal Pahale Whatsup Ko Facebook Ne kharid Liya Tha.Jiske bad Whatsup ka Pura Adhikar Facebook Ko Mil Chuka  Hai Or Ab Facebook Iske Sath Koi Bhi Policy Bana Sakata hai.Is Policy Ke Sath Whatsup Ab Sabhi Users Ka  Mobile Number Facebook Ke SAth Share Krne Ja Rha hai.



Jiski Saphai Me Whatsup kahata Hai Ki Isase Facebook Pr Dikhane Bale ViGyapan Ko Sahi-Sahi Dikhane Me Madad Meligi.Ath Sahi Vigyapan Sahi Logo Tak Pahuch Jayega Jisase Customer Or Business man ko Dono Ko Phayada Pahuchega.

To Aaiye Jante Hai Kaise Hm Apna Whatsup Information Ko Facebook Ke sath Share Hone Se Bachaye.


Sabse Pahle Whatsup Ab Aapko Ek Policy Dikhayegi. jaise Hi Aap Apna whatsup Open krenge To Apko Ek Policy Dikhayegi Jo Ki Open Krte Hi Nazar Aayega.
Agar Aapko Ye Policy nazar Nhi AAyi Hai To Bahut Jald Hi Nazar Aa Jayegi or AApse Kuch Policy Batakar Aapse Sahamti magi Jayegi Agar Ye Policy Abhi Tak Nhi Payi Hai Or Aage Pane Bale Hai To Uske Liye AApko Sahamti Nhi Deni hai.
Yani Ki Jab Koi Policy Aapke Mobile Pr aaye to Aapko Kya krna Hai Mai Aapko Step by Step bta Rha Hu.

 Step 1. Sabse Pahle Niche Stith ReadMore pr Click Kre.

Step 2. Uske bad Ek Nya Screen open Hoga Or Aap Se Pucha Jayega Ki Kya Aap Aapana Number Share Krne Ke Liye Agree Hai.Jisme Diya Gya box Pahale Check Hoga Use Uncheck Krke Agree Pr click Krna Hai.

Is Prakar Aap Apna Number Facebook Ke Sath Share Hone Se Bach Jayenge.

Or Ab Ydi AAp Sb Iske Liye Sahamti Pradan Kr di hai To Koi Preshan Hone bali bat Nahi Hai Iska Bhi Upay Hai Or Iske Liye Whatsup Aapko 30 Din Ka Samay Deta Hai JIsme Aap Badalav Kr Sakte Hai

Ath Abhi bhi Aapke pass Number Na Share Karne Ka Option Hai . Number Ko Share Hone Se Bachane Ke Liye Niche Diye Step Ko Fallow Kre.

Step 1. Sabse Pahle Whatsup ke Setting Me Jaye Or Iske bad Account Pr
Click Kre.

Step 2. Iske BAd Aapko Niche Share My Account Info check Kiya Hua Milega. Use AApko Uncheck Krna Hoga.Is Prakar Aap Apni Sahamti De Dene Ke Bad Bhi Apna Mobile Number Facebook Ke Sath Share Hone Se Bach Sakate hai.

SUGGEST FOR YOU__:


         Whatsup Iske Bad bhi Aapke Information Ka Upyog Kisi Dusre chizo ke liye Kr Sakati Hai Or Aapke Mobile Number Or Data Ko Facebook Ke Sath Share Nhi Kr Sakati Hai.

  To Dosto Agar ye Post Aap Logo Ko Pasand AAye to Aap Log Apne dosto Ko Share  Karna Na Bhule.OR Is Information Ko Jayada Se Jyada Logo Ke pass Share Krke Unhe Bhi whatsup ka Number Or Data Facebook Ke sath Share Hone Se Bcha Sakate Hai.


THANKS FOR READING THIS POST FRIENDS……….


No comments:

Post a Comment