Hello
Friends , Aaj Mai Aap Logo Ko Computer
Se related ek aise bat batane jar ha hu Jo sayad aap nhi janate honge. To
Dosto mai aaj mobile charging ke bare me batane ja rha hu .Ye sunke aap logo ko
lg rha hoga kaisi mobile charging. So dosto mobile charging kaise krenge ye hm
computer se janenge vo bhi kb jb hamara computer band ho jata hai . Jankar
hairani hui na dosto ki computer ke band hone se mobile kaise charge krenge. To
aap logo ko mai yhi trick batane ja rha hu.
Simply
hme jb mobile charge Krna Hota To Hm Light(Bijali se ) Krte hai. Jra Socho Agar
Light Chali Jaye Or Aapka Invertar Bhi Down Ho Jaye. To AAp Kya Krenge . Or
AApko Mobile Charge Krna Jaroori Hai.To Aap Apna Computer Ka Use Krenge. Lekin
Computer Se Jb Hm Charge Krte Hai TO Ek Problem AAti Hai. Jaise Hi Hamare
Computer Ki SCreen Off Hoti Hai Vaise Hi Hmari Mobile charging Hona Band Ho
Jati Hai.To Dosto Is Post Ko pdne Ke Bad Ye Problem End HO Jayega. Or Aapka
Mobile Computer ke Band Ho Jane Pr Bhi Charge Hota Rhega.
….
. To Dosto Aaj Ke
Post Me Mai Yahi Batane Bala Hu.KI Kaise Computer ke Band Hone Pr Bhi Hm Mobile
Charge Kr Skte Hai.Aap Janane ke Liye Bde Utsuk Honge Ki Kaise To Dosto Ab Mai
Sidhe Topic per Chalta Hu. Ab Hm Step by Step Sbhi Ko Dyan Se Pdenge.
To
Dosto Apna Computer Start Kerne Bad Hm Apne My
computer Me jayenge. Or Usme Se Aapko My
Computer Ke Properties Ko Select Krenge Jo ki Computer ke Left CArner Pr
Hoga Ya Phir Aap Desktop Me Jakar Ke My Computer Ke Icon Pe Right Click Kr Ke
Bhi Properties Pr Ja Skte Hai. Help Ke Liye Niche Figure Dekhe.
Or Jaise Hi Aap Properties pr Click
Krenge Aapko Nya Window OPen Hoga. Ab Is
Window Me Se Hm Logo Ko Device
Manager Ko Select Krna hai. Jo Ki Figure Me Arrow Ke Nishan Se Darshaya
Gya Hai.Niche Fegure Dekhe ..
Device Manager Ko click Karne Ke
Bad Aapko Ek Naya Window Open Hoga. Isme Se AApko Universal
Serial Bus Controllers Ko Select Krna Hai Jaise Hi AAp Ise Select Kroge
To Iske Bhut Sare Properties show Krenge Jinme Se AApko USB Root Hub Ko Select Krna Hai or Uspe Double Click krna Hai.Figure Me Arrow DVara
Dikhaya Gya Hai. help Ke liye niche Figure Dekhe.
Ab Jaise Hi AAp USB Root Hub pe Double Click Krenge To AApko
Ek Nya Window Open Hoga.Jisme Bahut SAre Tab Honge Or Unme Se Aapko Power Management Tab Ko Select Karana
Hai.Arrow Dvara Dikhaya Gya Hai. Or Us Tab Ko Select Krte Hi Usme Do Option
Honge .Jisme So Aapko Do Checkbox show krenge .To Phle Vale(Allow the computer to turn off this
device to save power) Checkbox
Jo Ki by Default Select Hota Hai . Use Hme Uncheck Krna hai Jaise Ki
Figure Me Dikhaya Gaya Hai Tir Ke Dvara .Niche Figure Dekhe..
Ab Aapko OK button Ko Select krna
hai . Or Is trh Yh Puri setting ho jayegi. or AApka Computer OFF Hone Pr Bhi
Aapki Mobile Charge Hoti Rhegi.
NOTE DHYAN RHE
YE TRICK AAP TABHI USE KRENGE JB AAPKE YHA KI LIGHT CHALI GYI HO OR AAPKA
MOBILE CHARGE KRNA BAHUT HI JARURI HO.TABHI IS TRICK KO USE KRNA HAI NHI TO
AAPKI COMPUTER YA LAPTOP KI BATTARY KHARAB HO SAKTI HAI.
TO DOSTO AGAR IS POST KO PDKAR MAZA AAYA TO JAROOR APNE
DOSTO KO BHI SHARE KARNA NA BHULE .OR KOI PROBLEM AATI HAI TO AAP PUCH SAKTE
HAI.HME AAPKE COMMENT KA INTAZAAR RAHEGA.
TO DOSTO YE JANKAR AAPKO BAHUT MZA AAYA HOGA AISE HI AAP IS
BLOG SE JUDE RHE OR NYI JANAKARI LETE RHE . AGAR AAGE KE BLOG KO JO KI BAD ME
LIKHUNGA CHAHIYE HO COMMENT BOX ME APNI E-MAIL ID JAROOR DROP KRE JISSE AAP
E-MAIL SE JUDAKAR BHI ISKA PHAYADA UTHA SKATE HAI.
No comments:
Post a Comment